Sunday, 21 June 2009

nayi zindgi ka uzar
Hatho se rangi hai mendi kathhai rang ab pili hone lagi hai,
mathe per laga lal sindur ab gulabi hone laga hai,
ankho me laga kala kajal ab dhundla sa hone laga hai,
pairo me laga lal mahor ab chhutne laga hai,
ankho me saje hue sapne ab tutne lage hai,
ronak bhare chehre me ab siskan si hone lagi hai,
badan per lipti sari ab bikherne si lagi hai,
hum safar ka hath hi aya tha daman ruthne sa laga hai,
abhi kasme vado ki rasm bhi ruthne si lagi hai,
haa! woh saji dhaji dulhan ka mang ka sindur rone laga hai,
pita ka ghar chhora piya ke ghar ke liye, piya ka ghar bhi tutne laga hai".
yeh sachhi ghatna us bam dhmamke ki hai jab ek dulhan apne pati ke ghar me gai lekin pehle din ke bad usne dusra din apne pati ke sath nahi dekha. mujhe bohat dukh hota hai. bam dhamake kerne walo ko kya milta hai aisi kai zindgi ujar ke.
"majhab nahi sikhata apas mai bair rakhna"
"hum hindustan me rehte hai hum hindustani hi bane rahe yahi kafi hai"

1 comment: